Wednesday, July 22, 2009

Sarfaroshi ki tamanna---the Anurag Kashyap version

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai
Dekhna hai zor kitna baazue ka dil mein hai

Waqt aane de bataa denge tujhe ae aasma
Hum abhi se kya bataaye kya hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai

Aur Bismil kash aate aaj tum Hindustan
Dekhte ki mulk saara ae tashan mein, thrill mein hai

Aaj ka launda yeh kehta, hum toh Bismil thak gaye
Apni aazadi toh bhaiya laundiya ke dil mein hai

Aaj ke jalson mein Bismil, ek gunga gaa raha
Aur behron ka woh rela naachta mehfil mein hai

Hath ki khaadi banaane zamaana lad gaya
Aaj toh chaddi bhi silti englishon ke mill mein hai

Dekhna hai zor kitna baazue ka dil mein hai
Waqt aane de bataa denge tujhe ae aasma
Hum abhi se kya bataaye kya hamaare dil mein hai

Sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil mein hai.


I don't steal credits..
So this amazing piece of work is by Piyush Mishra. Composed,written & sung by him in Anurag kashyap's Gulaal...mind blowing movie...must watch
Btw, the typing credit does go to me..
Thank You..
Love you.

No comments:

Post a Comment

550*250

468*60